Whatsapp me Invite link kaise banate hai?
Yadi aap iske bare me jante hai toh achi baat hai nahi toh post apke liye bahut usefull hai. Ye trick mene khud se try kiya hai, islye aaj mai iske bare me apko full detail batane wala hu.
Aaj ke modern time me whatsapp best chat and calling app hai. Mene isye pahle whatsapp ke number ko VIP kaise banate hai iske bare me bataya tha. Jaisa ki aap jante hai whatsapp group me bahut se members ko add kiya ja sakta hai, aur whatsapp plus me toh normal whatsapp se double member add kar sakte hai. Lekin bina admin ke permission ke koi bhi add nahi ho sakta hai. Mujse bahut se logo ne pucha hai ki bina admin ke help ke whatsapp group me kaise add hote hai.
Bahut bar aisa hota hai ki log galti se apne banaye gaye whatsapp group ko leave kar dete hai, jis wajah se unki jagah admin koi aur baan jata hai. Lekin jab wo wapas group me add hona chahte hai toh nahi ho sakte hai. Ye trick apko kisi bhi group me enter karne me bhi help kar sakta hai. Group me add hone ke liye kisi ki permission ki jarurat nahi hai.
Whatsapp Group Invite Link Create Kaise Karte Hain
Whatsapp Group Invite Link Advantage
URL se koi bhi group me add ho sakta hai.
Bina admin permission ke bhi group join kiya ja sakta hai.
Abhi mene apko is trick ka advantage bataya hai lekin ab step by step method batunga. Whatsapp Group Invite URL kaise banate hai.
Official whatsapp Me Group Invite Link Kaise Banaye
Jis whatsapp group ke app admin hai usse open kare.
Phir group me 3 dot hai uspar press kare.
Ab group info option me jaye.
Yaha add member ka icon (+) hai. Is par press kare.
Invite to group via link option par tap kare.
Whatsapp group invite link show hone lagega.
Link copy karke apne friends ko send kare. Link share whatsapp, messenger, facebook etc kahi bhi kar sakte hai.
No comments: